siyah kamre mein jab subh ka ujala hua
siyāh kamre meñ jab sub.h kā ujālā huā
zamīn-bos huā maiñ falak se Tapkā huā
tum āftāb ko kirnoñ kī bhiik detī huī
maiñ ek shab ke añdhere meñ saañs letā huā
zamīñ pe phailī huī dhuup us sharāre kī
aur ek saaya mire saath saath bujhtā huā
kisī ne niiñd pahan lī kisī kī utrī huī
kisī ne ḳhvāb uThāyā kisī kā pheñkā huā
ye pahlī baar koī jang raas aa.ī mujhe
maiñ us tak aa gayā dushman shumār hotā huā
udaas baiThī huī dhuup sust naav meñ hai
darūn-e-dariyā koī jism tilmilātā huā
siyah kamre mein jab subh ka ujala hua
zamin-bos hua main falak se Tapka hua
tum aaftab ko kirnon ki bhik deti hui
main ek shab ke andhere mein sans leta hua
zamin pe phaili hui dhup us sharare ki
aur ek saya mere sath sath bujhta hua
kisi ne nind pahan li kisi ki utri hui
kisi ne KHwab uThaya kisi ka phenka hua
ye pahli bar koi jang ras aai mujhe
main us tak aa gaya dushman shumar hota hua
udas baiThi hui dhup sust naw mein hai
darun-e-dariya koi jism tilmilata hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.