siyah raat ke mathe pe KHak malta hua
siyāh raat ke māthe pe ḳhaak maltā huā
ajiib chāñd hai dikhtā nahīñ hai Dhaltā huā
mirā bhī dukh to hai aanis tumhāre dukh kā rafīq
so aa rahā huuñ usī rāste pe chaltā huā
ye dekhiye ki havāoñ pe kab dharā jā.ūñ
charāġh se to nikālā gayā huuñ jaltā huā
use bhī yaad to hogī vo rail kī siiTī
hameñ to yaad rahegā vo haath maltā huā
siyah raat ke mathe pe KHak malta hua
ajib chand hai dikhta nahin hai Dhalta hua
mera bhi dukh to hai aanis tumhaare dukh ka rafiq
so aa raha hun usi raste pe chalta hua
ye dekhiye ki hawaon pe kab dhara jaun
charagh se to nikala gaya hun jalta hua
use bhi yaad to hogi wo rail ki siTi
hamein to yaad rahega wo hath malta hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.