siyah-raat ke sine pe jagmagata hua
siyāh-rāt ke siine pe jagmagātā huā
guzar gayā hai koī raushnī luTātā huā
sunā rahā huuñ kahānī idhar-udhar kī use
maiñ zabt kartā huā sāniha chhupātā huā
zarā sī der hai andar kī rut badalne meñ
ki ro paḌūñgā abhī qahqaha lagātā huā
kisī ujaaḌ jazīre pe dekhā jā.ūñgā
maiñ dhuup chuntā huā aur shajar lagātā huā
mirī talab ke barābar na de magar ye batā
ġhubār-e-rāh phirūñ kab talak uḌātā huā
siyah-raat ke sine pe jagmagata hua
guzar gaya hai koi raushni luTata hua
suna raha hun kahani idhar-udhar ki use
main zabt karta hua saniha chhupata hua
zara si der hai andar ki rut badalne mein
ki ro paDunga abhi qahqaha lagata hua
kisi ujaD jazire pe dekha jaunga
main dhup chunta hua aur shajar lagata hua
meri talab ke barabar na de magar ye bata
ghubar-e-rah phirun kab talak uData hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.