siyah safha-e-hasti pe main ubhar na saka
siyāh safha-e-hastī pe maiñ ubhar na sakā
mirī shabīh meñ koī bhī rañg bhar na sakā
har ek raah thī masdūd kohsāroñ meñ
bulandiyoñ se kisī tarah maiñ utar na sakā
bure dinoñ kā maiñ ik ḳhaufnāk manzar huuñ
mujhe kabhī bhī koī shaḳhs yaad kar na sakā
nukīle ḳhaar the shīshe the sañg-reze the
rah-e-hayāt se be-dāġh maiñ guzar na sakā
pukārtā rahā mujh ko koī magar 'shāhid'
maiñ mauj-e-bahr thā pal bhar kahīñ Thahar na sakā
siyah safha-e-hasti pe main ubhar na saka
meri shabih mein koi bhi rang bhar na saka
har ek rah thi masdud kohsaron mein
bulandiyon se kisi tarah main utar na saka
bure dinon ka main ek KHaufnak manzar hun
mujhe kabhi bhi koi shaKHs yaad kar na saka
nukile KHar the shishe the sang-reze the
rah-e-hayat se be-dagh main guzar na saka
pukarta raha mujh ko koi magar 'shahid'
main mauj-e-bahr tha pal bhar kahin Thahar na saka
- Book : Mausam Mausam Roop (Pg. 32)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.