siyah shaal pe jo ashk kaDhta hoga
siyāh shaal pe jo ashk kāḌhtā hogā
kise ḳhabar thī use mujh se mas.ala hogā
jo mere hote bichhaḌne kī baat kartā thā
mirī judā.ī meñ ik baar ro diyā hogā
zamīñ pe phaile ye kāġhaz gavāhī dete haiñ
vo kuchh na kuchh to mire naam likh rahā hogā
fazā udaas hai mahtāb hai malūl ki ab
vo zard chehre ko hāthoñ meñ bhar rahā hogā
maiñ is liye bhī bahut mutma.in thī duurī se
vo duur hogā magar mujh ko dekhtā hogā
mujhe bhī dūsre kāñdhe ne kuchh sahārā diyā
kahīñ se mauqa use bhī to mil gayā hogā
siyah shaal pe jo ashk kaDhta hoga
kise KHabar thi use mujh se masala hoga
jo mere hote bichhaDne ki baat karta tha
meri judai mein ek bar ro diya hoga
zamin pe phaile ye kaghaz gawahi dete hain
wo kuchh na kuchh to mere nam likh raha hoga
faza udas hai mahtab hai malul ki ab
wo zard chehre ko hathon mein bhar raha hoga
main is liye bhi bahut mutmain thi duri se
wo dur hoga magar mujh ko dekhta hoga
mujhe bhi dusre kandhe ne kuchh sahaara diya
kahin se mauqa use bhi to mil gaya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.