siyahi girti rahe aur diya KHarab na ho
siyāhī girtī rahe aur diyā ḳharāb na ho
ye tāq-e-chashm ab itnā bhī kyā ḳharāb na ho
har aane vaalā isī tarah se tujhe chāhe
mirī banā.ī huī ye fazā ḳharāb na ho
azal abad meñ Thanī hai so maiñ nikaltā huuñ
mirī kaḌī se tirā silsila ḳharāb na ho
ham us havā se to kahte haiñ kyuuñ bujhāyā charāġh
kahīñ charāġh kī apnī havā ḳharāb na ho
maiñ apnī shart pe aayā thā is ḳharābe meñ
so mere saath koī dūsrā ḳharāb na ho
mirī ḳharābī ko yakjā karo kahīñ na kahīñ
mirā muāmla ab jā-ba-jā ḳharāb na ho
ḳharāb huuñ bhale is ishtihā meñ ham aur tum
par ek dūsre kā zā.iqa ḳharāb na ho
siyahi girti rahe aur diya KHarab na ho
ye taq-e-chashm ab itna bhi kya KHarab na ho
har aane wala isi tarah se tujhe chahe
meri banai hui ye faza KHarab na ho
azal abad mein Thani hai so main nikalta hun
meri kaDi se tera silsila KHarab na ho
hum us hawa se to kahte hain kyun bujhaya charagh
kahin charagh ki apni hawa KHarab na ho
main apni shart pe aaya tha is KHarabe mein
so mere sath koi dusra KHarab na ho
meri KHarabi ko yakja karo kahin na kahin
mera muamla ab ja-ba-ja KHarab na ho
KHarab hun bhale is ishtiha mein hum aur tum
par ek dusre ka zaiqa KHarab na ho
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 121)
- Author :Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.