siyahi mein to saya Dubta hai
siyāhī meñ to saaya Dūbtā hai
kahā kis ne sitāra Dūbtā hai
zamāne se alag ik chāñd dekhā
ḳhayāloñ meñ ubhartā Dūbtā hai
ye kah kar ḳhud ko samjhātā rahā huuñ
ki sūraj bhī to tanhā Dūbtā hai
ye saare phuul dariyā meñ girā do
nahīñ to ab shikārā Dūbtā hai
chalā aatā hai mīnāroñ pe paanī
abābīlo baserā Dūbtā hai
siyahi mein to saya Dubta hai
kaha kis ne sitara Dubta hai
zamane se alag ek chand dekha
KHayalon mein ubharta Dubta hai
ye kah kar KHud ko samjhata raha hun
ki suraj bhi to tanha Dubta hai
ye sare phul dariya mein gira do
nahin to ab shikara Dubta hai
chala aata hai minaron pe pani
ababilo basera Dubta hai
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 122)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.