siyasat jab zarurat ho naya rishta banati hai
siyāsat jab zarūrat ho nayā rishta banātī hai
koī kitnā muḳhālif ho use apnā banātī hai
shanāsā ḳhauf kī tasvīr hai us kī bayāzoñ meñ
mirī beTī hasīñ piñjre meñ ik chiḌiyā banātī hai
taḳhayyul harf meñ Dhal kar ubhar aatā hai kāġhaz par
sarāpā sochtā huuñ maiñ ġhazal chehra banātī hai
kisī par mehrbāñ hotī hai jab bhī daulat-e-duniyā
use sāhab use qibla use kyā kyā banātī hai
haqīqī shā'irī dād-e-suḳhan se bhī huī mahrūm
bilā sar-pair vaalī shā'irī paisa banātī hai
gavārā kab hai mamtā ko mirā yuuñ dhuup meñ chalnā
mirī maañ oḌhnī phailā ke ik chhātā banātī hai
ye achchhā.ī meñ bhī 'sābir' burā.ī DhūñD letī hai
ye duniyā hai alif par bhī kabhī shosha banātī hai
siyasat jab zarurat ho naya rishta banati hai
koi kitna muKHalif ho use apna banati hai
shanasa KHauf ki taswir hai us ki bayazon mein
meri beTi hasin pinjre mein ek chiDiya banati hai
taKHayyul harf mein Dhal kar ubhar aata hai kaghaz par
sarapa sochta hun main ghazal chehra banati hai
kisi par mehrban hoti hai jab bhi daulat-e-duniya
use sahab use qibla use kya kya banati hai
haqiqi sha'iri dad-e-suKHan se bhi hui mahrum
bila sar-pair wali sha'iri paisa banati hai
gawara kab hai mamta ko mera yun dhup mein chalna
meri man oDhni phaila ke ek chhata banati hai
ye achchhai mein bhi 'sabir' burai DhunD leti hai
ye duniya hai alif par bhi kabhi shosha banati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.