siyasi peD hain barson se phal nahin aae
siyāsī peḌ haiñ barsoñ se phal nahīñ aa.e
idhar to mas.ale aa.e haiñ hal nahīñ aa.e
use bhī shauq musalsal fareb dene kā
kabhī jabīn pe apnī bhī shal nahīñ aa.e
use ye Dar ki jise inqalāb kahte haiñ
vo rāsta mire ghar se nikal nahīñ aa.e
yahāñ to tark-e-vafā kā rivāj aam huā
hamīñ ko faisle karnā aTal nahīñ aa.e
khule hue haiñ yahāñ mujrimoñ ke chehre kyoñ
bayān log to apne badal nahīñ aa.e
koī bhī kholne vaalā nahīñ hai darvāza
ki jab talak yahāñ sūraj nikal nahīñ aa.e
sahal nahīñ hai 'asar' ghar talak pahuñchnā bhī
agar shumār meñ rastoñ ke bal nahīñ aa.e
siyasi peD hain barson se phal nahin aae
idhar to masale aae hain hal nahin aae
use bhi shauq musalsal fareb dene ka
kabhi jabin pe apni bhi shal nahin aae
use ye Dar ki jise inqalab kahte hain
wo rasta mere ghar se nikal nahin aae
yahan to tark-e-wafa ka riwaj aam hua
hamin ko faisle karna aTal nahin aae
khule hue hain yahan mujrimon ke chehre kyon
bayan log to apne badal nahin aae
koi bhi kholne wala nahin hai darwaza
ki jab talak yahan suraj nikal nahin aae
sahal nahin hai 'asar' ghar talak pahunchna bhi
agar shumar mein raston ke bal nahin aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.