siyasi rah mein andesha-e-laghzish bahut hai
siyāsī raah meñ andesha-e-laġhzish bahut hai
tujhe barbād karne ko tirī ḳhvāhish bahut hai
adā-kārī riyā-kārī fareb-o-makr sīkho
siyāsat meñ inhīñ ausāf se pursish bahut hai
ye dillī hai dalāloñ kī yahāñ sab kaam hoñge
tumhārī jeb ho bhārī to āsā.ish bahut hai
kabhī jo pūchh lete ho hamārā haal ham se
tumhāre dil meñ ye thoḌī sī gunjā.ish bahut hai
kahūñ kuchh sher aise jo utar jaa.eñ diloñ meñ
mire maulā mujhe itnī tirī baḳhshish bahut hai
siyasi rah mein andesha-e-laghzish bahut hai
tujhe barbaad karne ko teri KHwahish bahut hai
ada-kari riya-kari fareb-o-makr sikho
siyasat mein inhin ausaf se pursish bahut hai
ye dilli hai dalalon ki yahan sab kaam honge
tumhaari jeb ho bhaari to aasaish bahut hai
kabhi jo puchh lete ho hamara haal hum se
tumhaare dil mein ye thoDi si gunjaish bahut hai
kahun kuchh sher aise jo utar jaen dilon mein
mere maula mujhe itni teri baKHshish bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.