siyah hai raat rah to sujhai jae
siyah hai raat raah to sujhā.ī jaa.e
falak pe bindī chāñd kī lagā.ī jaa.e
mujhe bhī haq hai tujh se iḳhtilāf kā
zamāne ko ye baat bhī batā.ī jaa.e
ye naqsha khīñche chāhe jitnī sarhadeñ
ai dost ab ye dushmanī miTā.ī jaa.e
diloñ meñ nafratoñ kī aag jaltī hai
mohabbatoñ kī raushnī baḌhā.ī jaa.e
siyah hai raat rah to sujhai jae
falak pe bindi chand ki lagai jae
mujhe bhi haq hai tujh se iKHtilaf ka
zamane ko ye baat bhi batai jae
ye naqsha khinche chahe jitni sarhaden
ai dost ab ye dushmani miTai jae
dilon mein nafraton ki aag jalti hai
mohabbaton ki raushni baDhai jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.