so ab diwar ke andar se phir ek dar nikalungi
so ab dīvār ke andar se phir ik dar nikālūñgī
maiñ apnī chashm-e-bīnā se na.e manzar nikālūñgī
hasīñ ḳhvāboñ kī sūrat jo mirī āñkhoñ kī zīnat haiñ
zamāna dekhtā hogā maiñ vo gauhar nikālūñgī
tumhāre hijr kī sūrat jo is siine ke andar hai
agar kuchh ban paḌā mujh se to vo patthar nikālūñgī
maiñ ḳhud ko kheñch lā.ūñgī añdherī raat meñ ik din
inhī tārīk rastoñ par maiñ apnā Dar nikālūñgī
tumhārī dastaras se jo nikal paa.ī kisī lamhe
mujhe tum dekhte rahnā maiñ kaise par nikālūñgī
so ab diwar ke andar se phir ek dar nikalungi
main apni chashm-e-bina se nae manzar nikalungi
hasin KHwabon ki surat jo meri aankhon ki zinat hain
zamana dekhta hoga main wo gauhar nikalungi
tumhaare hijr ki surat jo is sine ke andar hai
agar kuchh ban paDa mujh se to wo patthar nikalungi
main KHud ko khench laungi andheri raat mein ek din
inhi tarik raston par main apna Dar nikalungi
tumhaari dastaras se jo nikal pai kisi lamhe
mujhe tum dekhte rahna main kaise par nikalungi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.