so ab tabir ki dhun hai ki dekhe ja chuke hain
so ab ta.abīr kī dhun hai ki dekhe jā chuke haiñ
vagarna ḳhvāb-e-nā-mumkin se aage jā chuke haiñ
hamāre zimme hai ā.indagāñ kī maut kā dukh
aur un kā ġham jo ham logoñ se pahle jā chuke haiñ
bahut se log ab bad-zan haiñ gaañv ke ḳhudā se
bahut se log shahroñ meñ kamāne jā chuke haiñ
ham ā.inda zamānoñ kī ġhazal tartīb deñge
tumhārī be-ruḳhī par sher likkhe jā chuke haiñ
mire bhaa.ī maiñ kahtā thā ki āvāzoñ se mat Dar
tū jin ke Dar se chup baiThā thā sun le jā chuke haiñ
so ab tabir ki dhun hai ki dekhe ja chuke hain
wagarna KHwab-e-na-mumkin se aage ja chuke hain
hamare zimme hai aaindagan ki maut ka dukh
aur un ka gham jo hum logon se pahle ja chuke hain
bahut se log ab bad-zan hain ganw ke KHuda se
bahut se log shahron mein kamane ja chuke hain
hum aainda zamanon ki ghazal tartib denge
tumhaari be-ruKHi par sher likkhe ja chuke hain
mere bhai main kahta tha ki aawazon se mat Dar
tu jin ke Dar se chup baiTha tha sun le ja chuke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.