so gai chup-chap lambi rah-guzar
so ga.ī chup-chāp lambī rah-guzar
rafta-rafta phir vahī andhā safar
raat kā antim sitāra dekh kar
chahchahāte haiñ parinde shāḳh par
koī lahroñ meñ ubhartā Dūbtā
aa gayā le kar sadāoñ ke bhañvar
phir koī aahaT abhī aa jā.egī
band khiḌkī jā giregī TuuT kar
dekhtā huuñ maiñ hazāroñ saal se
hai vahī rasta vahī vīrān ghar
so gai chup-chap lambi rah-guzar
rafta-rafta phir wahi andha safar
raat ka antim sitara dekh kar
chahchahate hain parinde shaKH par
koi lahron mein ubharta Dubta
aa gaya le kar sadaon ke bhanwar
phir koi aahaT abhi aa jaegi
band khiDki ja giregi TuT kar
dekhta hun main hazaron sal se
hai wahi rasta wahi viran ghar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.