so gaya qabr mein munh Dhanp ke sone wala
so gayā qabr meñ muñh Dhāñp ke sone vaalā
umr bhar rotā rahe ab koī rone vaalā
TuuT jaatā hai to ro detā hai rone vaalā
kyoñ banātā hai khilaune ye khilaune vaalā
jin ke āñgan meñ nahīñ koī bhī rone vaalā
un gharoñ se bhī guzartā hai khilaune vaalā
us kī marzī hai vo muḳhtār hai jo chāhe kare
merī marzī se kahīñ kuchh nahīñ hone vaalā
mere a.amāl kī gaThḌī to mire sar hogī
hai koī bojh mire naam kā Dhone vaalā
phir nahīñ rakhtā ḳhabar apnī na duniyā kā ḳhayāl
justujū meñ tirī jab khotā hai khone vaalā
ek bhī ashk agar chashm-e-nadāmat meñ nahīñ
kaun phir dāman-e-isyāñ kā hai dhone vaalā
justujū karte raho ḳhair kī ummīd rakho
'shād' ho jā.egā jo kaam hai hone vaalā
so gaya qabr mein munh Dhanp ke sone wala
umr bhar rota rahe ab koi rone wala
TuT jata hai to ro deta hai rone wala
kyon banata hai khilaune ye khilaune wala
jin ke aangan mein nahin koi bhi rone wala
un gharon se bhi guzarta hai khilaune wala
us ki marzi hai wo muKHtar hai jo chahe kare
meri marzi se kahin kuchh nahin hone wala
mere aamal ki gaThDi to mere sar hogi
hai koi bojh mere nam ka Dhone wala
phir nahin rakhta KHabar apni na duniya ka KHayal
justuju mein teri jab khota hai khone wala
ek bhi ashk agar chashm-e-nadamat mein nahin
kaun phir daman-e-isyan ka hai dhone wala
justuju karte raho KHair ki ummid rakho
'shad' ho jaega jo kaam hai hone wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.