so ke patthar pe kabhi dekh ki sona kya hai
so ke patthar pe kabhī dekh ki sonā kyā hai
taaki ma.alūm tujhe ho ye bichhaunā kyā hai
merī tanhā.ī kisī roz jo mujh se khele
ain-mumkin hai samajh jā.ūñ khilaunā kyā hai
biij koī bhī ho vo jaḌ to pakaḌ hī legā
tai ye karnā hai ki nam ḳhaak meñ bonā kyā hai
yuuñ na hone pe mire tujh ko na hairat hogī
maiñ agar tujh ko batā duuñ ki ye honā kyā hai
zikr-e-vahshat meñ agar TuuT girī hai 'fā.ez'
chhoḌ tasbīh ke dānoñ ko pironā kyā hai
so ke patthar pe kabhi dekh ki sona kya hai
taki malum tujhe ho ye bichhauna kya hai
meri tanhai kisi roz jo mujh se khele
ain-mumkin hai samajh jaun khilauna kya hai
bij koi bhi ho wo jaD to pakaD hi lega
tai ye karna hai ki nam KHak mein bona kya hai
yun na hone pe mere tujh ko na hairat hogi
main agar tujh ko bata dun ki ye hona kya hai
zikr-e-wahshat mein agar TuT giri hai 'faez'
chhoD tasbih ke danon ko pirona kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.