soch kar dariya hai kya sahra hai kaun
soch kar dariyā hai kyā sahrā hai kaun
vādī-e-hairat meñ vo gum sā hai kaun
jhuk rahā hai āsmāñ nīche kī samt
ḳhāk-dāñ par dekh to aayā hai kaun
hoñT par sach chup kī sūrat khil uThā
raaz ifshā jab huā duniyā hai kaun
uTh rahī huuñ kis ke chalne se samajh
dhuul meñ huuñ phir batā rastā hai kaun
jāntā huuñ niiñd meñ huuñ chal rahā
sochtā huuñ ḳhvāb meñ aayā hai kaun
soch kar dariya hai kya sahra hai kaun
wadi-e-hairat mein wo gum sa hai kaun
jhuk raha hai aasman niche ki samt
KHak-dan par dekh to aaya hai kaun
honT par sach chup ki surat khil uTha
raaz ifsha jab hua duniya hai kaun
uTh rahi hun kis ke chalne se samajh
dhul mein hun phir bata rasta hai kaun
jaanta hun nind mein hun chal raha
sochta hun KHwab mein aaya hai kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.