soch kar dekhiye kya KHub nazara hoga
soch kar dekhiye kya KHub nazara hoga
Dheerendra Singh Faiyaz
MORE BYDheerendra Singh Faiyaz
soch kar dekhiye kyā ḳhuub nazārā hogā
us ne jab rah ke merā naam pukārā hogā
ham ne sochā thā ki ab ġham se kinārā hogā
par kahāñ thī ye ḳhabar ishq dobāra hogā
kyā kaheñ kab se ye ummīd liye baiThe haiñ
us kī jānib se kabhī koī ishāra hogā
tujh ko dekhūñ to koī aur nazar aatā hai
tū ne us shaḳhs ko din raat guzārā hogā
shahr meñ mujh sā koī aur bhī dīvāna hai
hausla hijr meñ vo shaḳhs bhī haarā hogā
kis tarah us ko basā.eñge zarā se dil meñ
sochte rahte haiñ jab koī hamārā hogā
soch kar dekhiye kya KHub nazara hoga
us ne jab rah ke mera nam pukara hoga
hum ne socha tha ki ab gham se kinara hoga
par kahan thi ye KHabar ishq dobara hoga
kya kahen kab se ye ummid liye baiThe hain
us ki jaanib se kabhi koi ishaara hoga
tujh ko dekhun to koi aur nazar aata hai
tu ne us shaKHs ko din raat guzara hoga
shahr mein mujh sa koi aur bhi diwana hai
hausla hijr mein wo shaKHs bhi haara hoga
kis tarah us ko basaenge zara se dil mein
sochte rahte hain jab koi hamara hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.