soch kar hun agar magar KHamosh
soch kar huuñ agar magar ḳhāmosh
sab ko ḳhāmosh dekh kar ḳhāmosh
aise mat chīḳh merī hālat par
chārāgar hai to zaḳhm bhar ḳhāmosh
tab bahut duur lagtī hai manzil
jab safar meñ ho ham-safar ḳhāmosh
us kī ḳhāmoshī toḌnī hai agar
paas jā us ke aur Thahar ḳhāmosh
chīḳhne lag ga.ī hai tanhā.ī
dekh kar ham ko is qadar ḳhāmosh
tujh ko gūñgī lagegī ye duniyā
rahne lag jā.ūñ maiñ agar ḳhāmosh
soch kar hun agar magar KHamosh
sab ko KHamosh dekh kar KHamosh
aise mat chiKH meri haalat par
chaaragar hai to zaKHm bhar KHamosh
tab bahut dur lagti hai manzil
jab safar mein ho ham-safar KHamosh
us ki KHamoshi toDni hai agar
pas ja us ke aur Thahar KHamosh
chiKHne lag gai hai tanhai
dekh kar hum ko is qadar KHamosh
tujh ko gungi lagegi ye duniya
rahne lag jaun main agar KHamosh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.