soch kar mil zarā tavaqquf kar
yuuñ na har ek se ta'āruf kar
zindagī ḳharch karne vaale sun
maut par bhī to kuchh tasarruf kar
dīn-e-insāniyat ke jauhar se
ai ḳhudā ham ko bhī musharraf kar
had meñ rah kar hī be-takalluf ho
ho na mahsūs yuuñ takalluf kar
jhuuT go kāmrān hotā hai
apne sach par na ab ta.assuf kar
chhup ke jo bechte haiñ millat ko
aise logoñ pe khul ke tuf tuf kar
saarī duniyā badal rahī hai 'asad'
apnā tabdīl ab ta'āruf kar
soch kar mil zara tawaqquf kar
yun na har ek se ta'aruf kar
zindagi KHarch karne wale sun
maut par bhi to kuchh tasarruf kar
din-e-insaniyat ke jauhar se
ai KHuda hum ko bhi musharraf kar
had mein rah kar hi be-takalluf ho
ho na mahsus yun takalluf kar
jhuT go kaamran hota hai
apne sach par na ab tassuf kar
chhup ke jo bechte hain millat ko
aise logon pe khul ke tuf tuf kar
sari duniya badal rahi hai 'asad'
apna tabdil ab ta'aruf kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.