soch ke be-samt darwazon pe jab patthar laga
soch ke be-samt darvāzoñ pe jab patthar lagā
maiñ simaT kar uḌ gayā ḳhālī badan kā ghar lagā
ghūrtī haiñ har taraf be-nūr āñkheñ kis liye
ā.īna-ḳhāne meñ andhe se kaho chakkar lagā
yaad meñ kapḌe badalne ke liye mujh se chhupā
vo kahīñ bhī thā mujhe kuchh der dariyā par lagā
jin muñDeroñ se kabūtar jhāñkte the raat din
itnī ūñchī ho ga.ī haiñ dekhte hī Dar lagā
ittifāqan ghanTiyāñ sī kaan meñ bajne lagīñ
maiñ akelā hī thā ghar meñ saarā ghar mandar lagā
soch ke be-samt darwazon pe jab patthar laga
main simaT kar uD gaya KHali badan ka ghar laga
ghurti hain har taraf be-nur aankhen kis liye
aaina-KHane mein andhe se kaho chakkar laga
yaad mein kapDe badalne ke liye mujh se chhupa
wo kahin bhi tha mujhe kuchh der dariya par laga
jin munDeron se kabutar jhankte the raat din
itni unchi ho gai hain dekhte hi Dar laga
ittifaqan ghanTiyan si kan mein bajne lagin
main akela hi tha ghar mein sara ghar mandar laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.