soch ke gumbad mein ubhri TuTti yaadon ki gunj
soch ke gumbad meñ ubhrī TūTtī yādoñ kī guuñj
merī aahaT sun ke jaagī saikaḌoñ qadmoñ kī guuñj
aañkh meñ bikhrā huā hai jāgte ḳhvāboñ kā rañg
kaan meñ simTī huī hai bhāgte sāyoñ kī guuñj
jaane kyā kyā dā.ere bante haiñ mere zehan meñ
kaañp uThtā huuñ maiñ sun kar TūTte shīshoñ kī guuñj
rañg meñ Duubā huā hai qarya-e-chashm-e-ḳhayāl
bām-o-dar se phūTtī hai ḳhushnumā chehroñ kī guuñj
jaate jaate aaj 'amjad' paañv patthar ho ga.e
haath par mere girī jab nargisī āñkhoñ kī guuñj
soch ke gumbad mein ubhri TuTti yaadon ki gunj
meri aahaT sun ke jagi saikaDon qadmon ki gunj
aankh mein bikhra hua hai jagte KHwabon ka rang
kan mein simTi hui hai bhagte sayon ki gunj
jaane kya kya daere bante hain mere zehan mein
kanp uThta hun main sun kar TuTte shishon ki gunj
rang mein Duba hua hai qarya-e-chashm-e-KHayal
baam-o-dar se phuTti hai KHushnuma chehron ki gunj
jate jate aaj 'amjad' panw patthar ho gae
hath par mere giri jab nargisi aankhon ki gunj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.