soch ki parchhaiyan hain aur main
soch kī parchhā.iyāñ haiñ aur maiñ
tajraboñ kī sīpiyāñ haiñ aur maiñ
shahr hai ḳhāmosh jaise ho khañDar
dhuup meñ jalte makāñ haiñ aur maiñ
tez āñdhī chīrtī jaa.e badan
dhuñd meñ lipTe jahāñ haiñ aur maiñ
ḳhuun meñ luThḌe saroñ ke darmiyāñ
daar kī ḳhāmoshiyāñ haiñ aur maiñ
phuul sī chiḌiyā zamīñ par kyā girī
zehn meñ raqsāñ gumāñ haiñ aur maiñ
gard hotī manzileñ haiñ sāmne
ret par miTte nishāñ haiñ aur maiñ
zard mausam oḌh kar soyā badan
ruuh kī pahnā.iyāñ haiñ aur maiñ
soch ki parchhaiyan hain aur main
tajrabon ki sipiyan hain aur main
shahr hai KHamosh jaise ho khanDar
dhup mein jalte makan hain aur main
tez aandhi chirti jae badan
dhund mein lipTe jahan hain aur main
KHun mein luThDe saron ke darmiyan
dar ki KHamoshiyan hain aur main
phul si chiDiya zamin par kya giri
zehn mein raqsan guman hain aur main
gard hoti manzilen hain samne
ret par miTte nishan hain aur main
zard mausam oDh kar soya badan
ruh ki pahnaiyan hain aur main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.