soch ki uljhi hui jhaDi ki jaanib jo gai
soch kī uljhī huī jhāḌī kī jānib jo ga.ī
aas kī rañgīn titlī ḳhuuñ kā chhīñTā ho ga.ī
us kī ḳhushbū thī mirī āvāz thī kyā chiiz thī
jo darīcha toḌ kar niklī fazā meñ kho ga.ī
āḳhir-e-shab duur kohsāroñ se barfānī havā
shahr meñ aa.ī mire kamre meñ aa kar so ga.ī
chand chhilkoñ aur ik būḌhī bhikāran ke sivā
rail-gāḌī āḳhirī manzil pe ḳhālī ho ga.ī
is qadar melā na thā jis par kisī kā naam thā
phir bhī 'aslam' aañkh chhalkī aur kāġhaz dho ga.ī
soch ki uljhi hui jhaDi ki jaanib jo gai
aas ki rangin titli KHun ka chhinTa ho gai
us ki KHushbu thi meri aawaz thi kya chiz thi
jo daricha toD kar nikli faza mein kho gai
aaKHir-e-shab dur kohsaron se barfani hawa
shahr mein aai mere kamre mein aa kar so gai
chand chhilkon aur ek buDhi bhikaran ke siwa
rail-gaDi aaKHiri manzil pe KHali ho gai
is qadar mela na tha jis par kisi ka nam tha
phir bhi 'aslam' aankh chhalki aur kaghaz dho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.