soch lije kaf-e-afsos bhi mal sakte hain
soch liije kaf-e-afsos bhī mal sakte haiñ
aap chalne ko mire saath meñ chal sakte haiñ
jāda-e-ishq pe chalnā hai to phir der na kar
sochne se tire jazbāt badal sakte haiñ
shiddat-e-pyās ke ehsās ko baḌhne diije
eḌiyoñ se kabhī chashme bhī ubal sakte haiñ
ik to vaise hī udāsī kī ghaTā chhā.ī hai
aur chheḌoge to aañsū bhī nikal sakte haiñ
aap mazlūm ke ashkoñ se na khilvāḌ kareñ
ye vo dariyā haiñ jo shahroñ ko nigal sakte haiñ
apnī yādoñ ko mire paas na aane diije
varna so.e hue armān machal sakte haiñ
aap aise nazar-andāz hameñ mat kiije
khoTe sikke kabhī bāzār meñ chal sakte haiñ
jin ko dīvāna samajhte haiñ ye duniyā vaale
zid pe aa.eñ to ye taqdīr badal sakte haiñ
raushnī ke liye 'muḳhtār' jalā.e the charāġh
kyā ḳhabar thī ki mire haath bhī jal sakte haiñ
soch lije kaf-e-afsos bhi mal sakte hain
aap chalne ko mere sath mein chal sakte hain
jada-e-ishq pe chalna hai to phir der na kar
sochne se tere jazbaat badal sakte hain
shiddat-e-pyas ke ehsas ko baDhne dije
eDiyon se kabhi chashme bhi ubal sakte hain
ek to waise hi udasi ki ghaTa chhai hai
aur chheDoge to aansu bhi nikal sakte hain
aap mazlum ke ashkon se na khilwaD karen
ye wo dariya hain jo shahron ko nigal sakte hain
apni yaadon ko mere pas na aane dije
warna soe hue arman machal sakte hain
aap aise nazar-andaz hamein mat kije
khoTe sikke kabhi bazar mein chal sakte hain
jin ko diwana samajhte hain ye duniya wale
zid pe aaen to ye taqdir badal sakte hain
raushni ke liye 'muKHtar' jalae the charagh
kya KHabar thi ki mere hath bhi jal sakte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.