soch lije kyon azab aaya tha qaum-e-hud par
soch liije kyoñ 'azāb aayā thā qaum-e-hūd par
aur phir kuchh ġhaur kiije lamha-e-maujūd par
sau tarah kī ḳhvāhisheñ peshāniyoñ par darj haiñ
lag rahā hai sājidoñ kā qarz hai masjūd par
roz-e-avval se jahāñ meñ do tarah kā hai yaqīñ
ek ibrāhīm par aur dūsrā namrūd par
sūra-e-iḳhlās kī tasvīr hai gar īshvar
merā bhī īqān hai phir aap ke mā'būd par
raat phir merī ḳhudā se fajr tak gap-shap huī
raat phir hañste rahe ham donoñ hast-o-būd par
shaam ko phir yaad aa.ī shaam ke bāzār kī
phir kiyā maiñ ne tabarrā shaam ke mardūd par
yaad aa jaatī haiñ ab bhī kūḌā-karkaT dekh kar
bhinbhinātī makkhiyāñ ik tifl-e-nau-maulūd par
ho sake to dahr kā naqsha uThā kar dekhiye
kis qadar mahdūd haiñ ham arz-e-lā-mahdūd par
tiin chauthā.ī sadī se chal rahe haiñ qāfile
hijratī pahuñche nahīñ haiñ manzil-e-maqsūd par
sirf itnā hī kahūñgā maiñ sipah-sālār se
aap cigarette pī rahe haiñ baiTh kar bārūd par
baap huuñ so ek hī masraf hai merī ziist kā
ḳharch honā hai mujhe aulād kī bahbūd par
dostoñ kī qadr 'vāsif' pūchhiye us shaḳhs se
vaqt paḌne par liyā ho qarz jis ne suud par
soch lije kyon 'azab aaya tha qaum-e-hud par
aur phir kuchh ghaur kije lamha-e-maujud par
sau tarah ki KHwahishen peshaniyon par darj hain
lag raha hai sajidon ka qarz hai masjud par
roz-e-awwal se jahan mein do tarah ka hai yaqin
ek ibrahim par aur dusra namrud par
sura-e-iKHlas ki taswir hai gar ishwar
mera bhi iqan hai phir aap ke ma'bud par
raat phir meri KHuda se fajr tak gap-shap hui
raat phir hanste rahe hum donon hast-o-bud par
sham ko phir yaad aai sham ke bazar ki
phir kiya main ne tabarra sham ke mardud par
yaad aa jati hain ab bhi kuDa-karkaT dekh kar
bhinbhinati makkhiyan ek tifl-e-nau-maulud par
ho sake to dahr ka naqsha uTha kar dekhiye
kis qadar mahdud hain hum arz-e-la-mahdud par
tin chauthai sadi se chal rahe hain qafile
hijrati pahunche nahin hain manzil-e-maqsud par
sirf itna hi kahunga main sipah-salar se
aap cigarette pi rahe hain baiTh kar barud par
bap hun so ek hi masraf hai meri zist ka
KHarch hona hai mujhe aulad ki bahbud par
doston ki qadr 'wasif' puchhiye us shaKHs se
waqt paDne par liya ho qarz jis ne sud par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.