soch mein Duba hua hun kuchh kahin pe rah gaya
soch meñ Duubā huā huuñ kuchh kahīñ pe rah gayā
zindagī kā faisla thā bas nahīñ pe rah gayā
un kī mahfil se uThā laayā huuñ āñkheñ to magar
yaad ab aaya ki merā dil vahīñ pe rah gayā
maiñ jo apne saath laayā thā vo mere saath hai
naam hī tum ne diyā thā so zamīñ pe rah gayā
ye hai terā ye hai merā bas yahī karte rahe
aur is meñ jo kamāyā sab yahīñ pe rah gayā
maiñ bhī āḳhir thak chukā thā joḌte hī joḌte
aur dil TuuTā huā hī dil-nashīñ pe rah gayā
soch mein Duba hua hun kuchh kahin pe rah gaya
zindagi ka faisla tha bas nahin pe rah gaya
un ki mahfil se uTha laya hun aankhen to magar
yaad ab aaya ki mera dil wahin pe rah gaya
main jo apne sath laya tha wo mere sath hai
nam hi tum ne diya tha so zamin pe rah gaya
ye hai tera ye hai mera bas yahi karte rahe
aur is mein jo kamaya sab yahin pe rah gaya
main bhi aaKHir thak chuka tha joDte hi joDte
aur dil TuTa hua hi dil-nashin pe rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.