soch-nagar ke kolahal se bach jate to sote bhi
soch-nagar ke kolāhal se bach jaate to sote bhī
so jaate to sapnoñ ke man chāhe haar pirote bhī
suukh ga.ī ehsās kī rag rag kunThā kī lau sah sah kar
ab jo zarā sā jī bhar aatā jī bhar ke ham rote bhī
dil kā kabūtar agar uḌā le alhaḌ-pan kī koī adā
chāhat ke hāthoñ ke aksar uḌ jaate haiñ tote bhī
chaḌhtī dhuup utarte paanī ruuTh na jaate ham se agar
na.ī rutoñ meñ ga.ī rutoñ ke daaġh purāne dhote bhī
kaash bhañvar kī aañkh bulātī baañh pasāre maujeñ bhī
nadī kināre baiTh ke ham tum haath aur pair bhigote bhī
soch-nagar ke kolahal se bach jate to sote bhi
so jate to sapnon ke man chahe haar pirote bhi
sukh gai ehsas ki rag rag kunTha ki lau sah sah kar
ab jo zara sa ji bhar aata ji bhar ke hum rote bhi
dil ka kabutar agar uDa le alhaD-pan ki koi ada
chahat ke hathon ke aksar uD jate hain tote bhi
chaDhti dhup utarte pani ruTh na jate hum se agar
nai ruton mein gai ruton ke dagh purane dhote bhi
kash bhanwar ki aankh bulati banh pasare maujen bhi
nadi kinare baiTh ke hum tum hath aur pair bhigote bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.