soch nikhri hai aagahi chup hai
soch nikhrī hai āgahī chup hai
dekh kitnī harī-bharī chup hai
dard phailā hai kahkashāoñ meñ
sar sisakte haiñ rāgnī chup hai
aise gūñjī hai tīrgī shab kī
sab sitāroñ kī raushnī chup hai
mere hoñToñ pe surḳh naġhme haiñ
tere hoñToñ pe surma.ī chup hai
ik tahayyur ne us ko sīñchā hai
mere lab par ugī huī chup hai
ek chup hai jahān meñ phailī
shahr vīrāñ galī galī chup hai
ābla-pā haiñ dasht meñ donoñ
qais rotā hai aur 'safī' chup hai
soch nikhri hai aagahi chup hai
dekh kitni hari-bhari chup hai
dard phaila hai kahkashaon mein
sar sisakte hain ragni chup hai
aise gunji hai tirgi shab ki
sab sitaron ki raushni chup hai
mere honTon pe surKH naghme hain
tere honTon pe surmai chup hai
ek tahayyur ne us ko sincha hai
mere lab par ugi hui chup hai
ek chup hai jahan mein phaili
shahr viran gali gali chup hai
aabla-pa hain dasht mein donon
qais rota hai aur 'safi' chup hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.