Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

socha hai ki bikne ko main bazar mein aaun

Shahid Mahmood

socha hai ki bikne ko main bazar mein aaun

Shahid Mahmood

MORE BYShahid Mahmood

    sochā hai ki bikne ko maiñ bāzār meñ aa.uuñ

    do chaar hasīnoñ se mulāqāt to hogī

    yūsuf na sahī misr ke bāzār meñ becho

    maiñ bik na sakā phir bhī kuchh auqāt to hogī

    thāne se mujhe aaj aayā hai bulāvā

    kuchh din sahī muft mudārāt to hogī

    maiñ vaqt mansūr huuñ ho mujh ko ijāzat

    nā'ra to nahīñ thoḌī munājāt to hogī

    ab qudratī āfāt se maḳhlūq maregī

    kīḌoñ ke liye gosht bohtāt to hogī

    māyūs to huuñ phir bhī nayā-pan koī DhūñDūñ

    nau-roz na ho phir bhī na.ī raat to hogī

    sahrāoñ meñ bhaTkā huuñ sarāboñ huuñ maarā

    ummīd magar hai kabhī barsāt to hogī

    kuchh aise kiye kaam bahut naam rahegā

    bātoñ meñ baḌe logoñ ab baat to hogī

    socha hai ki bikne ko main bazar mein aaun

    do chaar hasinon se mulaqat to hogi

    yusuf na sahi misr ke bazar mein becho

    main bik na saka phir bhi kuchh auqat to hogi

    thane se mujhe aaj hi aaya hai bulawa

    kuchh din hi sahi muft mudaraat to hogi

    main waqt ka mansur hun ho mujh ko ijazat

    na'ra to nahin thoDi munajat to hogi

    ab qudrati aafat se maKHluq maregi

    kiDon ke liye gosht ki bohtat to hogi

    mayus to hun phir bhi naya-pan koi DhunDun

    nau-roz na ho phir bhi nai raat to hogi

    sahraon mein bhaTka hun sarabon ka hun mara

    ummid magar hai kabhi barsat to hogi

    kuchh aise kiye kaam bahut nam rahega

    baaton mein baDe logon ki ab baat to hogi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now