socha hai usko jab bhi to ye man sanwar gaya
socha hai usko jab bhi to ye man sanwar gaya
Munawwar Jahan Munawwar
MORE BYMunawwar Jahan Munawwar
sochā hai us ko jab bhī to ye man sañvar gayā
phir jā sakā na zehn se mujh meñ utar gayā
us ko ḳhabar nahīñ hai jo mujh par guzar ga.ī
ā.īna jaise TuuT ke yaksar bikhar gayā
maiñ chāhūñ us ko bhūlnā kaise bhulā.ūñ maiñ
jaadū thā koī jis kā asar mujh pe kar gayā
kaisā ajiib shaḳhs hai mujh se milā to vo
ḳhushbū misāl saare badan meñ bikhar gayā
maiñ aaj bhī rahī huuñ 'munavār' ik ahd par
saudā.ī merā ahd hai lekin mukar gayā
socha hai us ko jab bhi to ye man sanwar gaya
phir ja saka na zehn se mujh mein utar gaya
us ko KHabar nahin hai jo mujh par guzar gai
aaina jaise TuT ke yaksar bikhar gaya
main chahun us ko bhulna kaise bhulaun main
jadu tha koi jis ka asar mujh pe kar gaya
kaisa ajib shaKHs hai mujh se mila to wo
KHushbu misal sare badan mein bikhar gaya
main aaj bhi rahi hun 'munawar' ek ahd par
saudai mera ahd hai lekin mukar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.