socha kabhi nahin tha ki aisa karenge KHwab
sochā kabhī nahīñ thā ki aisā kareñge ḳhvāb
āñkhoñ se merī niiñd kā saudā kareñge ḳhvāb
hai TūTnā nasīb to TuuTā kareñge ḳhvāb
ham to har ek haal meñ dekhā kareñge ḳhvāb
dekho zarūr ḳhvāhish-e-tā’bīr mat karo
halkān tum ko aur ziyāda kareñge ḳhvāb
dil ko bahut 'azīz hai ye kārobār-e-shauq
ham to hamesha bechā ḳharīdā kareñge ḳhvāb
ye soch kar hī maiñ ne lagā.e haiñ ye daraḳht
phal deñ na deñ pa dhuup meñ saaya kareñge ḳhvāb
jin ko hai ḳhvāb dekhne kī lat lagī huī
āñkheñ khulī bhī hoñ to vo dekhā kareñge ḳhvāb
āñkhoñ meñ ḳhāmushī se basāyā to thā magar
sochā na thā ki shor machāyā kareñge ḳhvāb
aa.egī gahrī niiñd 'kamāl' aap ko tabhī
jab aap apnī āñkhoñ se minhā kareñge ḳhvāb
socha kabhi nahin tha ki aisa karenge KHwab
aankhon se meri nind ka sauda karenge KHwab
hai TuTna nasib to TuTa karenge KHwab
hum to har ek haal mein dekha karenge KHwab
dekho zarur KHwahish-e-ta’bir mat karo
halkan tum ko aur ziyaada karenge KHwab
dil ko bahut 'aziz hai ye karobar-e-shauq
hum to hamesha becha KHarida karenge KHwab
ye soch kar hi main ne lagae hain ye daraKHt
phal den na den pa dhup mein saya karenge KHwab
jin ko hai KHwab dekhne ki lat lagi hui
aankhen khuli bhi hon to wo dekha karenge KHwab
aankhon mein KHamushi se basaya to tha magar
socha na tha ki shor machaya karenge KHwab
aaegi gahri nind 'kamal' aap ko tabhi
jab aap apni aankhon se minha karenge KHwab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.