socha nahin tha jaisa nazara hua badan
sochā nahīñ thā jaisā nazārā huā badan
ya.anī falak ke naam sitārā huā badan
ilm-o-hunar se aap nikhārā huā badan
kitnā sañvāriyegā sañvārā huā badan
aayā na koī kaam nakārā huā badan
apnī vajūdiyat kā utārā huā badan
bāzī-e-zīst jaan se haarā huā badan
as.hāb-e-husn ab se tumhārā huā badan
hogā ḳhudā kisī kī hifāzat ke vāste
mere liye to merā sahārā huā badan
hairat-zada hai aa.ine ko dekh rū-ba-rū
sau sūratoñ se ek sañvārā huā badan
chashm-e-ġhazāl hoñT kañval haa.e nā jī nā
merā badan na ho ke ishāra huā badan
socha nahin tha jaisa nazara hua badan
yani falak ke nam sitara hua badan
ilm-o-hunar se aap nikhaara hua badan
kitna sanwariyega sanwara hua badan
aaya na koi kaam nakara hua badan
apni wajudiyat ka utara hua badan
bazi-e-zist jaan se haara hua badan
ashab-e-husn ab se tumhaara hua badan
hoga KHuda kisi ki hifazat ke waste
mere liye to mera sahaara hua badan
hairat-zada hai aaine ko dekh ru-ba-ru
sau suraton se ek sanwara hua badan
chashm-e-ghazal honT kanwal hae na ji na
mera badan na ho ke ishaara hua badan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.