socha tha tere gham ko nibhaenge kahan tak
socha tha tere gham ko nibhaenge kahan tak
Shehzad Anjum Burhani
MORE BYShehzad Anjum Burhani
sochā thā tire ġham ko nibhā.eñge kahāñ tak
lekin ye ta'alluq to chalā aaya hai jaañ tak
lab ḳhushk the ehsān na dariyā kā uThāyā
jaane ko ka.ī baar ga.e āb-e-ravāñ tak
yaad aatī nahīñ Thiik se sūrat bhī tumhārī
afsos badal jaate haiñ hālāt yahāñ tak
chehre kī bashāshat ne sabhī dard chhupā.e
is aag se uThtā bhī nahīñ koī dhuāñ tak
ab ghar meñ hī rahte haiñ mirī jaan ke dushman
is daur meñ mahfūz nahīñ jā-e-amāñ tak
socha tha tere gham ko nibhaenge kahan tak
lekin ye ta'alluq to chala aaya hai jaan tak
lab KHushk the ehsan na dariya ka uThaya
jaane ko kai bar gae aab-e-rawan tak
yaad aati nahin Thik se surat bhi tumhaari
afsos badal jate hain haalat yahan tak
chehre ki bashashat ne sabhi dard chhupae
is aag se uThta bhi nahin koi dhuan tak
ab ghar mein hi rahte hain meri jaan ke dushman
is daur mein mahfuz nahin ja-e-aman tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.