socha tha tumne dirham-o-dinar denge log
sochā thā tum ne dirham-o-dīnār deñge log
sar kaaT deñge phir tumheñ dastār deñge log
iflās-o-tañg-dastī kā e.ajāz ye bhī hai
māñgoge gar qalam tumheñ hathiyār deñge log
pahle-pahal to vasl kī lazzat milegī aur
phir umr bhar ko hijr kā āzār deñge log
mujrim rihā hue haiñ to ma.asūm qaid haiñ
kis ko ḳhabar thī aisī bhī sarkār deñge log
sach bolnā hai jurm ye taslīm hai magar
ik jurm kī sazā mujhe sau baar deñge log
bolūñ agar maiñ jhuuT to mar jā.egā zamīr
kah duuñ agar maiñ sach to mujhe maar deñge log
maiñ hī karūñgā shahr kī miTTī ko suraḳh-rū
mere hī ḳhuuñ se chhāp ke aḳhbār deñge log
socha tha tum ne dirham-o-dinar denge log
sar kaT denge phir tumhein dastar denge log
iflas-o-tang-dasti ka eajaz ye bhi hai
mangoge gar qalam tumhein hathiyar denge log
pahle-pahal to wasl ki lazzat milegi aur
phir umr bhar ko hijr ka aazar denge log
mujrim riha hue hain to masum qaid hain
kis ko KHabar thi aisi bhi sarkar denge log
sach bolna hai jurm ye taslim hai magar
ek jurm ki saza mujhe sau bar denge log
bolun agar main jhuT to mar jaega zamir
kah dun agar main sach to mujhe mar denge log
main hi karunga shahr ki miTTi ko suraKH-ru
mere hi KHun se chhap ke aKHbar denge log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.