sochna aata hai danai mujhe aati nahin
sochnā aatā hai dānā.ī mujhe aatī nahīñ
bonā aatā hai gul-ārā.ī mujhe aatī nahīñ
sar uThātā huuñ to tā-hadd-e-nazar paanī hai
Dūbnā chāhūñ to gahrā.ī mujhe aatī nahīñ
hañstā huuñ kheltā huuñ chīḳhtā huuñ rotā huuñ
apne kirdār meñ yak-jā.ī mujhe aatī nahīñ
roz-marra meñ lapeTī huī bosīda-fazā
apne atrāf se ubkā.ī mujhe aatī nahīñ
raunaqoñ meñ bhī alag ho ke rahā huuñ aksar
band kamre meñ bhī tanhā.ī mujhe aatī nahīñ
lashkar aayā thā magar qāfile kī sūrat huuñ
kisī bhī shakl meñ paspā.ī mujhe aatī nahīñ
sochna aata hai danai mujhe aati nahin
bona aata hai gul-arai mujhe aati nahin
sar uThata hun to ta-hadd-e-nazar pani hai
Dubna chahun to gahrai mujhe aati nahin
hansta hun khelta hun chiKHta hun rota hun
apne kirdar mein yak-jai mujhe aati nahin
roz-marra mein lapeTi hui bosida-faza
apne atraf se ubkai mujhe aati nahin
raunaqon mein bhi alag ho ke raha hun aksar
band kamre mein bhi tanhai mujhe aati nahin
lashkar aaya tha magar qafile ki surat hun
kisi bhi shakl mein paspai mujhe aati nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.