sochna chhoD diya humne ki kal kya hoga
sochnā chhoḌ diyā ham ne ki kal kyā hogā
is se behtar ġham-e-daurāñ tirā hal kyā hogā
tum mujhe shahr-badar kar to rahe ho lekin
ye bhī sochā hai ki anjām-e-ġhazal kyā hogā
maiñ to kar luuñ ba-ḳhushī tujh ko gavāra lekin
ġham-e-tanhā.ī tirā dard-e-amal kyā hogā
jis kī ḳhushbū se mahakte haiñ dar-o-bām-e-hayāt
kuchh sahī mausam-e-gul is kā badal kyā hogā
jagmagātā hai jo har zarre ke dil meñ aksar
haa.e vo husn-e-sanam husn-e-azal kyā hogā
ḳhud masīhā hai yahāñ āh-o-fuġhāñ meñ masrūf
is se auroñ kī takālīf kā hal kyā hogā
gesū-e-vaqt ulajhte hī chale jaate haiñ
har bashar soch meñ Duubā hai ki kal kyā hogā
ai mere bhūlne vaale kabhī ye bhī sochā
jagmagā uTThe jo yādoñ ke kañval kyā hogā
har-nafas daar kī mānind lage hai 'aḳhtar'
zindagī ye hai to phir rang-e-ajal kyā hogā
sochna chhoD diya hum ne ki kal kya hoga
is se behtar gham-e-dauran tera hal kya hoga
tum mujhe shahr-badar kar to rahe ho lekin
ye bhi socha hai ki anjam-e-ghazal kya hoga
main to kar lun ba-KHushi tujh ko gawara lekin
gham-e-tanhai tera dard-e-amal kya hoga
jis ki KHushbu se mahakte hain dar-o-baam-e-hayat
kuchh sahi mausam-e-gul is ka badal kya hoga
jagmagata hai jo har zarre ke dil mein aksar
hae wo husn-e-sanam husn-e-azal kya hoga
KHud masiha hai yahan aah-o-fughan mein masruf
is se auron ki takalif ka hal kya hoga
gesu-e-waqt ulajhte hi chale jate hain
har bashar soch mein Duba hai ki kal kya hoga
ai mere bhulne wale kabhi ye bhi socha
jagmaga uTThe jo yaadon ke kanwal kya hoga
har-nafas dar ki manind lage hai 'aKHtar'
zindagi ye hai to phir rang-e-ajal kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.