sochna shart hai tadbir badal jaegi
sochnā shart hai tadbīr badal jā.egī
kuchh amal hogā to taqdīr badal jā.egī
aaj jo dekhā sunā aaj hī likhnā hogā
varna kal tak to ye tahrīr badal jā.egī
saath dekhā hai tujhe haath meñ Daale hue haath
kyā mere ḳhvāb kī ta.abīr badal jā.egī
vaqt ko roknā mumkin hī nahīñ hai mere dost
kal yahī paañv kī zanjīr badal jā.egī
kabhī bārish to kabhī dhuup kī shiddat sah kar
chand din meñ merī tasvīr badal jā.egī
in jaḌī-būTiyoñ meñ dekh samāvāt ke rañg
ghol paanī meñ ki tāsīr badal jā.egī
sochna shart hai tadbir badal jaegi
kuchh amal hoga to taqdir badal jaegi
aaj jo dekha suna aaj hi likhna hoga
warna kal tak to ye tahrir badal jaegi
sath dekha hai tujhe hath mein Dale hue hath
kya mere KHwab ki tabir badal jaegi
waqt ko rokna mumkin hi nahin hai mere dost
kal yahi panw ki zanjir badal jaegi
kabhi barish to kabhi dhup ki shiddat sah kar
chand din mein meri taswir badal jaegi
in jaDi-buTiyon mein dekh samawat ke rang
ghol pani mein ki tasir badal jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.