sochon ke hathon ka gahna TuT gaya
sochoñ ke hāthoñ kā gahnā TuuT gayā
lafzoñ se lafzoñ kā rishta TuuT gayā
vaqt ne nīndeñ chhīn liiñ merī āñkhoñ se
tū thā jis kī jaan vo sapnā TuuT gayā
us ne bas ik phuul chaman meñ toḌā thā
mere andar jaane kyā kyā TuuT gayā
ab ke gaañv meñ jaanā chāhā thā lekin
aisī huī barsāt ki rasta TuuT gayā
vaqt se lohā lenā āsāñ kaam na thā
is koshish meñ haath hamārā TuuT gayā
ham ḳhud us se tark-e-ta.alluq kar baiThe
jhūTā sachchā har ik va.ada TuuT gayā
kyā batlā.ūñ kaun sā thā bāzār 'ḳhalish'
jis meñ mere dil kā jhumkā TuuT gayā
sochon ke hathon ka gahna TuT gaya
lafzon se lafzon ka rishta TuT gaya
waqt ne ninden chhin lin meri aankhon se
tu tha jis ki jaan wo sapna TuT gaya
us ne bas ek phul chaman mein toDa tha
mere andar jaane kya kya TuT gaya
ab ke ganw mein jaana chaha tha lekin
aisi hui barsat ki rasta TuT gaya
waqt se loha lena aasan kaam na tha
is koshish mein hath hamara TuT gaya
hum KHud us se tark-e-talluq kar baiThe
jhuTa sachcha har ek wada TuT gaya
kya batlaun kaun sa tha bazar 'KHalish'
jis mein mere dil ka jhumka TuT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.