sochta bolta ek naya aadmi
sochtā boltā ik nayā aadmī
ho gayā āḳhirash lāpata aadmī
chhoḌ jaatā hai aisā ḳhalā aadmī
bhar hī saktā nahīñ dūsrā aadmī
pā gayā thā yaqīnan to sachchā.ī ko
ye tirā jurm hai gum-shuda aadmī
zindagī bhī yūñhī haath aatī nahīñ
us ko bhī chāhiye sar-phirā aadmī
kufr to farz hai aise māhaul meñ
ho jahāñ aadmī kā ḳhudā aadmī
ik taḌap ik lagan ik junūñ chāhiye
vo bhī kyā aadmī jo nirā aadmī
pattharoñ se lipaTte hue ro paḌā
aadmī kā satāyā huā aadmī
ahd-e-nau meñ yahī merī tārīf hai
maiñ ġharīb aadmī maiñ burā aadmī
sochta bolta ek naya aadmi
ho gaya aaKHirash lapata aadmi
chhoD jata hai aisa KHala aadmi
bhar hi sakta nahin dusra aadmi
pa gaya tha yaqinan to sachchai ko
ye tera jurm hai gum-shuda aadmi
zindagi bhi yunhi hath aati nahin
us ko bhi chahiye sar-phira aadmi
kufr to farz hai aise mahaul mein
ho jahan aadmi ka KHuda aadmi
ek taDap ek lagan ek junun chahiye
wo bhi kya aadmi jo nira aadmi
pattharon se lipaTte hue ro paDa
aadmi ka sataya hua aadmi
ahd-e-nau mein yahi meri tarif hai
main gharib aadmi main bura aadmi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.