sochta hun kabhi huron ka KHayal achchha hai
sochtā huuñ kabhī hūroñ kā ḳhayāl achchhā hai
kabhī kahtā huuñ ki us but kā jamāl achchhā hai
mujh se kahte haiñ kaho 'ishq meñ haal achchhā hai
chheḌ achchhī hai ye andāz-e-savāl achchhā hai
na adā.eñ tirī achchhī na jamāl achchhā hai
asl meñ chāhne vaale kā ḳhayāl achchhā hai
dekh kar shakl vo ā.īne meñ apnī bole
kaun kahtā hai ki hūroñ kā jamāl achchhā hai
jo hunar kaam na aa.e to hunar phir kaisā
kaam jo vaqt par aa.e vo kamāl achchhā hai
vo javānī vo adā aur vo qadd-e-mauzūñ
dekh kar bol uThā dil bhī ki maal achchhā hai
hijr meñ dil ne kahā kūcha-e-jānāñ meñ chalo
shauq kam-baḳht ye bolā ki ḳhayāl achchhā hai
yuuñ to 'āshiq ke liye donoñ vabāl-e-jāñ haiñ
hijr se phir bhī har ik tarah visāl achchhā hai
aap jab hote nahīñ is kā to phir zikr hī kyā
aap jab sāmne baiThe haiñ to haal achchhā hai
jalva-afroz hoñ jab aap nazar ke aage
vo mahīna vo ghaḌī aur vo saal achchhā hai
us ne jab pyaar se pūchhā ki kaho kaise ho
muñh se be-sāḳhta ye niklā ki haal achchhā hai
lutf se ḳhālī nahīñ jaur bhī un kā 'hājir'
jo hasīnoñ se milā hai vo malāl achchhā hai
sochta hun kabhi huron ka KHayal achchha hai
kabhi kahta hun ki us but ka jamal achchha hai
mujh se kahte hain kaho 'ishq mein haal achchha hai
chheD achchhi hai ye andaz-e-sawal achchha hai
na adaen teri achchhi na jamal achchha hai
asl mein chahne wale ka KHayal achchha hai
dekh kar shakl wo aaine mein apni bole
kaun kahta hai ki huron ka jamal achchha hai
jo hunar kaam na aae to hunar phir kaisa
kaam jo waqt par aae wo kamal achchha hai
wo jawani wo ada aur wo qadd-e-mauzun
dekh kar bol uTha dil bhi ki mal achchha hai
hijr mein dil ne kaha kucha-e-jaanan mein chalo
shauq kam-baKHt ye bola ki KHayal achchha hai
yun to 'ashiq ke liye donon wabaal-e-jaan hain
hijr se phir bhi har ek tarah visal achchha hai
aap jab hote nahin is ka to phir zikr hi kya
aap jab samne baiThe hain to haal achchha hai
jalwa-afroz hon jab aap nazar ke aage
wo mahina wo ghaDi aur wo sal achchha hai
us ne jab pyar se puchha ki kaho kaise ho
munh se be-saKHta ye nikla ki haal achchha hai
lutf se KHali nahin jaur bhi un ka 'hajir'
jo hasinon se mila hai wo malal achchha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.