sochta hun ki aadmi kya hai
sochtā huuñ ki aadmī kyā hai
ġham hai kyā chiiz aur ḳhushī kyā hai
uljhe uljhe ye log kaise haiñ
bikhrī bikhrī ye zindagī kyā hai
tum mile ho to mujh pe raaz khulā
tīrgī kyā thī raushnī kyā hai
vo girā de anā kī dīvāreñ
us se phir apnī dushmanī kyā hai
chāñd meñ bhī hai aks sūraj kā
ham samajhte haiñ chāñdnī kyā hai
jo samundar se tishna-lab aa.e
us se pūchho ki tishnagī kyā hai
zindagī sirf ḳhvāb kā aalam
āgahī kyā hai be-ḳhudī kyā hai
jis ko sajde kiye farishtoñ ne
sochiye ab vo aadmī kyā hai
Dhal gayā hai shu.ūr lafzoñ meñ
kyā batā.ūñ ki shā.erī kyā hai
merī mushkil to aap hī sāhib
aap kahiye ki aap kī kyā hai
merī yādoñ ke mā-sivā bolo
aap ke dil meñ aur bhī kyā hai
aap miliye 'rafī.a' se ik din
phir ye dekheñ ki dostī kyā hai
sochta hun ki aadmi kya hai
gham hai kya chiz aur KHushi kya hai
uljhe uljhe ye log kaise hain
bikhri bikhri ye zindagi kya hai
tum mile ho to mujh pe raaz khula
tirgi kya thi raushni kya hai
wo gira de ana ki diwaren
us se phir apni dushmani kya hai
chand mein bhi hai aks suraj ka
hum samajhte hain chandni kya hai
jo samundar se tishna-lab aae
us se puchho ki tishnagi kya hai
zindagi sirf KHwab ka aalam
aagahi kya hai be-KHudi kya hai
jis ko sajde kiye farishton ne
sochiye ab wo aadmi kya hai
Dhal gaya hai shuur lafzon mein
kya bataun ki shaeri kya hai
meri mushkil to aap hi sahib
aap kahiye ki aap ki kya hai
meri yaadon ke ma-siwa bolo
aap ke dil mein aur bhi kya hai
aap miliye 'rafia' se ek din
phir ye dekhen ki dosti kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.