sochta hun ki mujhe tujhse mohabbat kyon hai
sochtā huuñ ki mujhe tujh se mohabbat kyoñ hai
tū nahīñ hai to mujhe terī zarūrat kyoñ hai
jānte haiñ ki vafādār nahīñ hai duniyā
phir bhī ham ko isī duniyā se mohabbat kyoñ hai
koī din aisā bhī ho maut na aa.e ham ko
har na.e din ke muqaddar meñ qayāmat kyoñ hai
band āñkhoñ meñ ujāle khulī āñkhoñ meñ dhuāñ
itnī ulTī mire ḳhvāboñ kī haqīqat kyoñ hai
ashk jab bhar ke chhalaktā hai to miltā hai sukūñ
jo rulātā hai usī dard meñ rāhat kyoñ hai
koī manzil na koī ḳhvāb na maqsad koī
yūñhī jiinā hai to jiine kī zarūrat kyoñ hai
kabhī marne kā irāda kabhī jiine kī du'ā
zindagī se kabhī nafrat kabhī chāhat kyoñ hai
gard jamtī hai na patthar koī lagtā hai 'shakīl'
dil hai ā.īna to phir itnā salāmat kyoñ hai
sochta hun ki mujhe tujh se mohabbat kyon hai
tu nahin hai to mujhe teri zarurat kyon hai
jaante hain ki wafadar nahin hai duniya
phir bhi hum ko isi duniya se mohabbat kyon hai
koi din aisa bhi ho maut na aae hum ko
har nae din ke muqaddar mein qayamat kyon hai
band aankhon mein ujale khuli aankhon mein dhuan
itni ulTi mere KHwabon ki haqiqat kyon hai
ashk jab bhar ke chhalakta hai to milta hai sukun
jo rulata hai usi dard mein rahat kyon hai
koi manzil na koi KHwab na maqsad koi
yunhi jina hai to jine ki zarurat kyon hai
kabhi marne ka irada kabhi jine ki du'a
zindagi se kabhi nafrat kabhi chahat kyon hai
gard jamti hai na patthar koi lagta hai 'shakil'
dil hai aaina to phir itna salamat kyon hai
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 89)
- Author :Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.