sochta hun raat jo suraj tha daen hath mein
sochtā huuñ raat jo sūraj thā daa.eñ haath meñ
sub.h kaise Dhal gayā vo mere baa.eñ haath meñ
ham agar kuchh aur apne zehn-o-dil raushan kareñ
dosto ye māh-o-anjum jagmagā.eñ haath meñ
hal na ho paayā agar qaht-e-zamīñ kā mas.ala
ye bhī mumkin hai ki ham fasleñ ugā.eñ haath meñ
dasht-e-chashm-o-qalb meñ bhī jo nazar aatā nahīñ
aao ham tum ko vahī manzar dikhā.eñ haath meñ
jab hisār-e-ḳhauf se āzād ho jaatā hai dil
qaid ho jaatī haiñ tab saarī balā.eñ haath meñ
jab mirī sāñsoñ se ye māhaul yaḳh-basta huā
munjamid hone lagīñ jaltī havā.eñ haath meñ
shā.erī kī ye shab-e-tārīk Dhaltī hī nahīñ
'kaif' kab tak ham charāġh-e-fan jalā.eñ haath meñ
sochta hun raat jo suraj tha daen hath mein
subh kaise Dhal gaya wo mere baen hath mein
hum agar kuchh aur apne zehn-o-dil raushan karen
dosto ye mah-o-anjum jagmagaen hath mein
hal na ho paya agar qaht-e-zamin ka masala
ye bhi mumkin hai ki hum faslen ugaen hath mein
dasht-e-chashm-o-qalb mein bhi jo nazar aata nahin
aao hum tum ko wahi manzar dikhaen hath mein
jab hisar-e-KHauf se aazad ho jata hai dil
qaid ho jati hain tab sari balaen hath mein
jab meri sanson se ye mahaul yaKH-basta hua
munjamid hone lagin jalti hawaen hath mein
shaeri ki ye shab-e-tarik Dhalti hi nahin
'kaif' kab tak hum charagh-e-fan jalaen hath mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.