sochta hun yahan kis se hai shanasai meri
sochtā huuñ yahāñ kis se hai shanāsā.ī mirī
vahī vīrāñ sā makāñ hai vahī tanhā.ī mirī
jis kī zulfoñ meñ lagāyā hai mohabbat kā gulāb
kāġhzī phūloñ se kartā hai pazīrā.ī mirī
is darīche meñ nahīñ dekhne vaalā koī
vo tamāshā huuñ ki hai ḳhalq tamāshā.ī mirī
band-e-ġham TuuT ke ash.ār meñ bah niklā hai
qarye qarye meñ huī jaatī hai rusvā.ī mirī
dil ke fānūs meñ jal uThtī haiñ sham.eñ 'fāḳhir'
dard aatā hai jo karne kī pazīrā.ī mirī
sochta hun yahan kis se hai shanasai meri
wahi viran sa makan hai wahi tanhai meri
jis ki zulfon mein lagaya hai mohabbat ka gulab
kaghzi phulon se karta hai pazirai meri
is dariche mein nahin dekhne wala koi
wo tamasha hun ki hai KHalq tamashai meri
band-e-gham TuT ke ashaar mein bah nikla hai
qarye qarye mein hui jati hai ruswai meri
dil ke fanus mein jal uThti hain shamen 'faKHir'
dard aata hai jo karne ki pazirai meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.