sochte hain yar ke hi sar pe war den tujhe
sochte haiñ yaar ke hī sar pe vaar deñ tujhe
zindagī guzārne ko ham guzār deñ tujhe
ham to chāhte haiñ tujh ko dil meñ hī utaar deñ
dil to chāhtā hai apnā aur pyaar deñ tujhe
kyuuñ badal gayā hai tū kyā huā hai yaar jī
dil se apne aaj ham kyuuñ utaar deñ tujhe
ruk hamāre paas tū do ghaḌī ke vāste
mil hamārī zindagī ham sañvār deñ tujhe
baar baar naam leñ pyaar se yuuñ aap kā
sochte haiñ ham sadā baar baar deñ tujhe
kyuuñ 'vaqās' ham tujhe jaan jī kaheñ yahāñ
fāltū hai pyaar kyā be-shumār deñ tujhe
sochte hain yar ke hi sar pe war den tujhe
zindagi guzarne ko hum guzar den tujhe
hum to chahte hain tujh ko dil mein hi utar den
dil to chahta hai apna aur pyar den tujhe
kyun badal gaya hai tu kya hua hai yar ji
dil se apne aaj hum kyun utar den tujhe
ruk hamare pas tu do ghaDi ke waste
mil hamari zindagi hum sanwar den tujhe
bar bar nam len pyar se yun aap ka
sochte hain hum sada bar bar den tujhe
kyun 'waqas' hum tujhe jaan ji kahen yahan
faltu hai pyar kya be-shumar den tujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.