sochte rahna shab-e-gham mein izafat karna
sochte rahnā shab-e-ġham meñ izāfat karnā
hai diyā ban ke havāoñ se mohabbat karnā
ham ko is meñ bhī ziyārat kā maza miltā hai
baiThe rahnā tire chehre kī tilāvat karnā
us kī furqat meñ ḳhud apne meñ maiñ kho jaatā huuñ
is ko kahte haiñ amānat meñ ḳhayānat karnā
husn-e-jānāñ pe kuchh aisī thī javānī aa.ī
paḌ gayā ham ko rafīqoñ se raqābat karnā
ham ne paa.ī hai virāsat meñ ye aadat 'vāhid'
is zamāne meñ bhī logoñ se mohabbat karnā
sochte rahna shab-e-gham mein izafat karna
hai diya ban ke hawaon se mohabbat karna
hum ko is mein bhi ziyarat ka maza milta hai
baiThe rahna tere chehre ki tilawat karna
us ki furqat mein KHud apne mein main kho jata hun
is ko kahte hain amanat mein KHayanat karna
husn-e-jaanan pe kuchh aisi thi jawani aai
paD gaya hum ko rafiqon se raqabat karna
hum ne pai hai wirasat mein ye aadat 'wahid'
is zamane mein bhi logon se mohabbat karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.