sochte the ki ghar mein rahenge sada
sochte the ki ghar meñ raheñge sadā
kyā ḳhabar thī safar meñ raheñge sadā
nafratoñ se jahāñ log nafrat kareñ
ham bhī aise nagar meñ raheñge sadā
tere dil tak rasā.ī na ho paa.ī gar
phir bhī terī nazar meñ raheñge sadā
log ilzām dete haiñ dete raheñ
is bahāne ḳhabar meñ raheñge sadā
un ko nisbat hai terī judā.ī se dost
ḳhvāb kuchh chashm-e-tar meñ raheñge sadā
apnī qismat meñ sāhil na hogā kabhī
ham yuuñ 'sāqib' bhañvar meñ raheñge sadā
sochte the ki ghar mein rahenge sada
kya KHabar thi safar mein rahenge sada
nafraton se jahan log nafrat karen
hum bhi aise nagar mein rahenge sada
tere dil tak rasai na ho pai gar
phir bhi teri nazar mein rahenge sada
log ilzam dete hain dete rahen
is bahane KHabar mein rahenge sada
un ko nisbat hai teri judai se dost
KHwab kuchh chashm-e-tar mein rahenge sada
apni qismat mein sahil na hoga kabhi
hum yun 'saqib' bhanwar mein rahenge sada
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.