sochti aankhen mujhe din kis ne aaKHir kaun tha
sochti aankhen mujhe din kis ne aaKHir kaun tha
Noor Mohammad Yaas
MORE BYNoor Mohammad Yaas
sochtī āñkheñ mujhe diiñ kis ne āḳhir kaun thā
maiñ ne to dekhā nahīñ merā musavvir kaun thā
sab agar mahsūr the ḳhud meñ to kis kā thā hisār
sab agar majbūr the ḳhud se to jābir kaun thā
merī āñkhoñ ke alāva kis ne dekhā thā mujhe
apne bātin se ziyāda mujh pe zāhir kaun thā
ho na ho tū ne hī kaaTī hai zubān-e-jahl 'yās'
dūsrā tere sivā is fan kā māhir kaun thā
sochti aankhen mujhe din kis ne aaKHir kaun tha
main ne to dekha nahin mera musawwir kaun tha
sab agar mahsur the KHud mein to kis ka tha hisar
sab agar majbur the KHud se to jabir kaun tha
meri aankhon ke alawa kis ne dekha tha mujhe
apne baatin se ziyaada mujh pe zahir kaun tha
ho na ho tu ne hi kaTi hai zuban-e-jahl 'yas'
dusra tere siwa is fan ka mahir kaun tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.