sochti hun mujhse bhi aisa bayan ho jaega
sochtī huuñ mujh se bhī aisā bayāñ ho jā.egā
jo ki mere dard kā bhī tarjumāñ ho jā.egā
ḳhvāb ho kar rah ga.ī haiñ kaisī kaisī sūrateñ
mujh ko lagtā hai ki sab vahm-o-gumāñ ho jā.egā
maiñ ne sochā bhī na thā utnā badal jā.egā vo
is qadar tabdīl rang-e-āsmāñ ho jā.egā
us ko fursat hī kahāñ thī apnī bātoñ se magar
maiñ ye samjhī thī vo merā ham-zabāñ ho jā.egā
haath meñ ḳhanjar hai us ke aur mire siine meñ dil
aaj phir ham donoñ kā hī imtihāñ ho jā.egā
sochtī huuñ us ko dil kā haal to kah duuñ magar
aisī bātoñ se vo kāfir bad-gumāñ ho jā.egā
phir anal-haq kī sadā gūñjegī maqtal meñ kahīñ
vāqi.a vo phir sar-e-nok-e-sināñ ho jā.egā
māvarā ho jā.ūñgī 'zahrā' maiñ apnī zaat se
ek din merā makāñ bhī lā-makāñ ho jā.egā
sochti hun mujh se bhi aisa bayan ho jaega
jo ki mere dard ka bhi tarjuman ho jaega
KHwab ho kar rah gai hain kaisi kaisi suraten
mujh ko lagta hai ki sab wahm-o-guman ho jaega
main ne socha bhi na tha utna badal jaega wo
is qadar tabdil rang-e-asman ho jaega
us ko fursat hi kahan thi apni baaton se magar
main ye samjhi thi wo mera ham-zaban ho jaega
hath mein KHanjar hai us ke aur mere sine mein dil
aaj phir hum donon ka hi imtihan ho jaega
sochti hun us ko dil ka haal to kah dun magar
aisi baaton se wo kafir bad-guman ho jaega
phir anal-haq ki sada gunjegi maqtal mein kahin
waqia wo phir sar-e-nok-e-sinan ho jaega
mawara ho jaungi 'zahra' main apni zat se
ek din mera makan bhi la-makan ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.